Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 Hazrat Sheikh Abu Ali Roodbari

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap Rahmatullah Alayh ka ism graami Ahmed bin Mohammad Bin Qasim bin Mansob Roodbari hai. Aap Rahmatullah Alayh ke abao ajdaad ka silsila Noshirwan Adil taq hai. Aap Rahmatullah Alayh ka ziyada waqt Misar mein guzra lekin aap Rahmatullah Alayh ka asli watan Baghdad tha. Aap Rahmatullah Alayh Hazrat Junaid Bughdadi Rahmatullah Alayh ke khalifa hain is ke ilawa Hazrat Khwajah Mumshad Denvri Rahmatullah Alayh aur Hazrat Abual Hasan Rahmatullah  Alayh se bhi faiz e sohbat haasil kiya .

Aik baar Hazrat Junaid Bughdadi Rahmatullah Alayh Baghdad ki jame masjid mein waaz kar rahay they aur 1 shakhs se mukhatib ho kar keh rahay they as-sama ya Sheikh Abu Ali Rahmatullah Alayh . Is waqt aap Rahmatullah Alayh bhi masjid ke samnay se guzr rahe they aap Rahmatullah Alayh ne samjha ke Sheikh mujh se mukhatib hain lehaza wahein kharray ho gaye aur Hazrat Junaid Bughdadi Rahmatullah Alayh ki baatein suneney lagey. Aap Rahmatullah Alayh ke waaz ka dil par itna assar howa ke dil duniya se achat ho gaya. Jo kuch paas tha woh Allah ki raah mein qurbaan kar diya aur Hazrat Junaid Bughdadi Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir hue. Phir Hazrat Junaid Bughdadi Rahmatullah Alayh ki tawaja se zahiri aur baatini aloom mein kamaal haasil kya .

Aap Rahmatullah Alayh ne farmaya jis terhan Anbia karaam ko izhaar muajzaat ka hukum diya gaya hai isi terhan aulia karam par karamaat ki posheedgi bhi farz ki gayi hai aur un ke muratib se kisi ko bhi ba khabar nahi kya jata. Raah toheed par gamzan honay walay jahannum se nijaat haasil kar lete hain aur qalb ko bhi hikmat isi waqt haasil hoti hai jab koi duniya aur doulat se mutnafar ho jata hai. Aap Rahmatullah Alayh farmatay hain ke mein Samaa se is liye chhutkara chahta hon ke is mein kaseer afaat  muzmer hain aur hamesha teen cheeze hi museebat mein mubtala karti hain awwal tabiyat ki bemari, doyam aik hi aadat par qaim rakhna soum buri sohbat .

1. Tabiyat ki bemari ka mafhuum yeh hai ke haraam aur mushtaba ashya istemaal kere .

2. Aadat ka marz yeh hai ke meri taraf nazar rakhtay hue gheebat kere aur sunay .

3. Sohbat ki bemaar yeh hai ke buray logon ki sohbat ikhtiyar kere .

Hazrat Ahmed Roodbari Rahmatullah Alayh farmatay hain ke aik darwaish ki tadfeen ke waqt mein ne yeh qasad kya ke is ki peshani par matti mil dun aur jaisay hi is maqsad ke liye mein neechay jhuka to is ne ankhan  khol len aur kaha ke ae Abu Ali Rahmatullah Alayh jis ne mujhe izzat farmai tum isi ke samnay mujhe zaleel karna chahtay ho. Lekin aap Rahmatullah Alayh ne apne azm par qaim rehtay hue sawal kiya ke fuqra marne ke baad bhi zindah ho jatay hain. Is ne jawab diya bulaa shuba zindah ho jatay hain kyunkay Allah ke doston ko kabhi mout nahi aati .

Jab aap Rahmatullah Alayh par waqt e nazaa tha to aap Rahmatullah Alayh ne apna sar apni hamsheerah ki goad mein rakh kar ankhen kholtey hue farmaya ke aasman ke dareechay khul chuke hain aur malaika bahisht ko saja rahay hain aur keh rahay hain ke tujhe aisi jagah puhncha den jo tairay vahm o gumaan se bhi bahar hai. Lekin mera qalb yeh sada laga raha hai is ke baad aap Rahmatullah Alayh ne Quran Pak ki aayat parhi jis ke maienay yeh hain ke" tujhe tairay haq ki qisam hai ke ghair ki janib nah dekhna" aap Rahmatullah Alayh ne farmaya mein ne apni hayaat ka bara hissa is intzaar mein guzaraa hai aur is waqt bhi is ke siwa kuch nah talab karoon ga aur jannat ki rishwat par hargiz raazi nah hon ga. Yeh keh kar aap Rahmatullah Alayh apne Khaaliq e Haqeeqi se ja milay .

Hazrat Sheikh Roodbari  Rahmatullah Alayh 332 Hijri ko is dar e fani se rukhsat hue. Aap Rahmatullah Alayh ki aakhri aaraam gaah Misar mein hai .